Sunday 24 September 2017

How to Block Games Notification on Facebook | Delete Notification


How to delete Notification on Facebook

How to Block Games Notification on Facebook- Hum Apnay Facebook Account May Games Notification or android notification Mustqail Toor Par Kaisay Khutam Kar Saktay Hain.   
Aj Hum Sikhengay Kay How to delete Notification on Facebook. Or Hum Apnay Facebook Kay Account may Games Notification Kaisay Remove Kar Saktay Hain. Jee Dost! Sub Say Pahlay to Ap Jan Lain Kay Humay Facebook may Games Notifications ko Remove Kion Karna Zaroori Hogia Hay. Switch of appTo Dosto Asal may Hum Jub Facebook Account Banatay hain to kafi Sary Friends say Chat karna, or Daily Stauts updadte karna, Kuch Post Karna, Kisi Post Ko Like Karna, Share Karna wagaira hi hamara kam hota hay. Lakin Aksar Oqat Hamari facebook Account ko login karty hi Kafi Facebook User jo Online Games Facebook Pr Khailtay Hain. How to block in IMO  Wo har kisi ko Games Khailnay Ki Offer kay liay Games Khailnay kay notifications Bhajaiy Jatay hain. Jin say hamray Account may Notification Zahir Hotay Hain. Or Baqi Kamon ki Tarha Humaiy un Notifications ko Dakhna Parta hay Jis say hamra Time Waste Hota hay. Jub Hum Games may Interested hi nahi hain to phir hum games kay notification kay liay apna time waste kion Karen.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty Hain.

Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain.. How to delete Notification on Facebook. Facebook Games Notification Kaisay Remove Kar Saktay Hain. Subsay Pahlay Apny PC may Facebook Login Kar lain. Phir Top par Diaygaiy Notification Pr Click Karen. Nichay Picture may Dakhen.

Ap Dakhen Gay Kay Kafi Facebook User Ki Taraf say Humain Games Kay Notifications Nazar Arahay Hain. Ab hum isi Notification kay Sath he Chota Sa button Setting Pr Click Karengay. Nichay Picture may Dakhen.

Jee Dosto ! Is picture may hum sub say nichay See More Setting Pr Click Karengay to hamaray samnay Yeh Page Zahir Hoga.

Is may Hum Blocking Option Pr Click Karengay Nichay Picture may Dakhen.

Setting May Anay Kay Bad Hum Left Side pr Thora Nichay Block hide notification App Ki Option Hogi Jis kay Samnay Aik Box Bana Hoga. Us Par Aingay. Nichay Picture may Dakhen.

Is Box May Hum Kisi bhi Game ka Name Likhengay To Kafi Sari Games Ki Detail Show Hogi. Nichay Picture may Dakhen. Jaisay Hum nay Subway Likha To Us Say Related Tamam Games Show Ho Rahi Hain.

Bus Hum Games Ka Name Daity Jaingay Or Games kay oper Click Kar kay usay Select Karty Jaingay. May nay 4 games ko Block Kar dia hay 1- Subway Surfers, 2- Suburbia, 3-Subway Legends, Candy Crush Soda Sega, Nichay Picture Dakhen.


May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga or Yaqeenan Ab Ap Bari Asani Say Apnay Facebook Account may Games Notification settings may ja kar  Hamisha Kay Liay Band Kar Saktay Hain. Android kay liay android notification manager may ja kar disable push notifications  ya notifications in app pr click karkay disable game  kar saktay hain.  Agar Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is article kay Start may hamari Video bhi hay Jisay Ap Dekh kar Mazeed Samjh Saktay Hain. Or Agr phi bhi koi Bat Samjh Na Ai ho to ap Nichay Diay Gaiy Comment Box may Comment kar kay Koi bhi Sawal Poch Saktay Hain. Ap hamaray Youtube Channel ko Zaroor Subscribe Karen. Takay Apko Information Technology in Urdu kay Mazid Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap Hamaray Facebook Page ko Bhi Zaroor Like Karen. Or Ap hamain Twitter Pr Follow Karen. Or Hamaray Google Plus pr bhi Follow Kar Saktay Hain.  Article Last Tak Dakhnay Ka Shukria.  Allah Hafiz. 


_____________/SOCIAL LINKS\______________________

★ Subscribe:    ► Youtube Channel Subscribe Karen

★ Facebook:    ► Facebook Ka Page Like Karen

★ Twitter:        ► Twitter Pr Follow Karen

★ Google+:      ► G+ May Follow Karen

===============================================

No comments:

Post a Comment