How to Change your Facebook URL Name – Facebook Account may
Facebook URL Kaisay Change Kar Saktay Hain.
Aj Hum Sikhengay Kay Hum Apnay Facebook Account Ka URL Name
Apni Marzi Ka Kaisay Rakh Saktay Hain. Us kay Liay Ap Hamara Complete Article
Parhaingay To apko Samjh Aiyga. Subsay Pahlay May Apko Yeh Batonga Kay Hamay
Apna Facebook URL Name Rakhna Kion Zaroori Hota hay. Asal may jub hum Facebook
pr Apna Account Bantay Hain to Facebook humain hamri ID ka Aik Address Daita
hay jo Dakhnay may bhi or yad rakhnay may bhi kafi mushkil hota hay is liay koi
bhi person jub humain online rahtay howy search karyga to us ko mushkil paish
Aiygi. Is liay hamari Soholut kay laiy hum apny URL ko apni marzi ka Asan URL
Dain gay takay log humain Asani Say search Kar Saken.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article
kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty
Hain.
Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain.. How
to Change your Facebook URL Name. Subsay Pahlay hum apna Facebook ka Account
Login Karengay. or ap Dakhen gay kay maray aik Farzi Account may maray Account
ka URL Name jo may nay Browser may Select Kia howa hay. Wo kitna Ziada hay or
kitna mushkil hay Yad Karnay kay liay. Nichay Picture may Dakhen.
Jee Dosto ! ab may apko is Lambay URL ko Short karnay ka
tariqa Sikhahonga. Is kay liay humhay sub say Pahlay hum top say nichay diay
gaiy Setting Button Pr Click Karengay. to aik chota sa menu khul jaiyga. Jis
may sub say nichay Likha Hoga “See More Settings” is pr Click Karengay.
To Aik Naia Page open hoga is may hum top Side pr Diaygay
button General Pr Click Karengay. nichy picture may dakhen.
Jaisay hi hum General Pr Click Karengay To General Account
ki setting ka page ajaiyga. Nichay Picture may Dakhen.
Is picture may dosray
number par User Name hay . hum is User Name pr Click Karengay to samnay aik box
Aiyga. Jis may hum apni marzi ka name likh Saktay hain. jaisay hum apna email
account banatay hain to jo hum email kay liay kuch bhi likhtay hain to Samnay
kuch hamray name say related suggestions Ajati hain. isi tarah hum jub tak
hamain hamaray matlab ka user name nahi milta hum search karty Rahaingay.
Nichay Picture may Dakhen.
Ap is picture may dakh rahey hain kay Username is not
available araha hay or Cross ka red color ka button ho raha hay. Is ka matlab
hay kay hamara username change karna pareyga. Kuch Search karnay kay bad may
nay aik farzi User name Select Karlia hay. Or us box kay smnay green tick ka
nishan araha hay or likha howa hay kay username is available. Nichay Picture
may dakhen.
Jee Dosto! Ham nay apnay Facebook Id ka Lamba Link Short kar
Lia hay. Is picture may dakhengay kay hamra Facebook URL Kitna Short Ho Chuka
hay. Ap Nichay Picture may Dakhen.
May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga
or Yaqeenan Ab Ap Bari Asani Say Apnay Facebook ID ka URL Link Short Kar Saktay
Hain. Agar Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is article kay Start may hamari Video bhi
hay Jisay Ap Dekh kar Mazeed Samjh Saktay Hain. Or Agr phi bhi koi Bat Samjh Na
Ai ho to ap Nichay Diay Gaiy Comment Box may Comment kar kay Koi bhi Sawal Poch
Saktay Hain. Ap hamaray Youtube Channel ko Zaroor Subscribe Karen. Takay Apko
Information Technology in Urdu kay Mazid Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap
Hamaray Facebook Page ko Bhi Zaroor Like Karen. Or Ap hamain Twitter Pr Follow
Karen. Or Hamaray Google Plus pr bhi Follow Kar Saktay Hain. Article Complete Dakhnay Ka Shukria.
______________/SOCIAL LINKS\________________________
No comments:
Post a Comment