Aj Hum Sikhengay Kay humaray PC ki Internet Ki Speed Kitni Hay. Jee Dost! Sub Say Pahlay to Ap Jan Lain Kay Internet ki Speed Internet Use Karnay Walon Kay Liay Sub Say Ziada Zaroori Cheez hay Agar Hamaray Computer may Internet ki Speed kum ho to hum Internet pr kisi bhi kam ko Sahi Tarhan Perform Nahi Kar Saktay. Kum Speed Sirf Hamara PC Or Laptop Pr Time Barbad Karnay kay illawa kuch Nahi Hay. Ya Aksar Oqat hum Jahan Say Internet Lia Jata hay wo hamian 1MB per Second kay hisab say Speed ka Batatay Hain. Lakin jub hum kisi Bhi Website ko Open Kartay Hain ya Koi Bhi Software ya Video Ya Koi Bhi Files Download Ya Upload Kartay Hain to Hamari Speed Kum hoti hay to hum kah Saktay hain kay hamari speed 1mb say kum hay. Aksar Oqat Din kay Waqat Internet ki Speed Achi Hoti hay or Rat ko Speed Slow Hoti hay. Kionkay jub Ziada User Jis Company may Hongay or Wo Sabhi aik Hi Time Internet Istemal Kar Rahay Hongay to Yaqeenan Hamaray Internet Ki Speed Slow Hi Hogi. Isi Speed ko Dakhnay kay liay ya Check Karnay kay Liay Yeh Article or oper Video Banai Gai Hay kay hum dakh Sakain kay hum Internet ki Speed Kaisay Check Kar Saktay Hain.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty Hain.
Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain..Internet Speed Check Karnay Kay Liay Hamaray Pass Subsay Pahlay Laptop OR PC Hona Zarari Hay or Dosra Koi Bhi Internet Connection. Wo Connection Kisi Company PTCL etc ka ho ya phir hamaray pass koi Internet USB Kisi Company, Telenor, Jazz, Mobilink ya PTCL ki Evo wagaira ka hona Zaroori hay.
Jee Dosto Ab hum Subsay Pahlay Google Open Karengay or us may Likhengay “Speed Test” Likhengay to Mostly Pahlay Ya Dosray Number pr Website Aiygi. www.speedtest.net us website ko open karengay. To apko nichay picture may di gai website ki tarah Show hogi.



Is Picture may Test Check Ho chukka hay. Jis may apko sub say oper Download Speed 1.93mb Show Kar raha hay or uploaded Speed 2.03mb Show kar Raha is say hum apni speed ka Idea Laga Saktay hain kay hamari Speed Kitni hay. Is Speed test ko ap din may 3-4 bar subha, din or rat may kar saktay hain jis say apko apni speed kay baray may andaza ho jaiyga kay apkay internet ki speed kis waqat Ziada Achi Rehti hay. Iska apko yeh faida milega kay ap ki Internet ki speed jis waqat Achi Ati hay us waqat ap apna koi bhi matloba kam Kar saktay Hian. Jis say apka kam kum time may hoga or apko Zehni Kofet say bhi dochar nahi hona paregay.
May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga or Yaqeenan Video Internet ki Speed Check Karna Agai Hogi. Agar Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is article kay Start may hamari Video bhi hay Jisay Ap Dekh kar Mazeed Samjh Saktay Hain. Or Agr phi bhi koi Bat Samjh Na Ai ho to ap Nichay Diay Gaiy Comment Box may Comment kar kay Koi bhi Sawal Poch Saktay Hain. Ap hamaray Youtube Channel ko Zaroor Subscribe Karen. Takay Apko Information Technology in Urdu kay Mazid Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap Hamaray Facebook Page ko Bhi Zaroor Like Karen. Or Ap hamain Twitter Pr Follow Karen. Or Hamaray Google Plus pr bhi Follow Kar Saktay Hain. Article Last Tak Dakhnay Ka Shukria.
______________/SOCIAL LINKS\________________________
★ Subscribe: ► Youtube Channel Subscribe Karen
★ Facebook: ► Facebook Ka Page Like Karen
★ Twitter: ► Twitter Pr Follow Karen
★ Google+: ► G+ May Follow Karen
===============================================
No comments:
Post a Comment