Aj Hum Sikhengay Kay hum kay hum apna Gmail Account Kaisay
Bana Saktay Hain Gmail kay Account kay Baray may apko Information may Apko
Batata Hon. Dosto Asal May jub bhi humain kisi bhi Website par apna Account
Banana Hota hay to uskay liay hamain aik Email Address Zaroori Hota hay. Wo
apka Email Address Yahoo pr Ho Sakta hay, Wo apka Account Hotmail Website Pr Ho
Sakta hay . Lakin Mostly Log Email kay liay Gmail ka Hi Email Address Banatay
Hain. Gmail Ka Email Address bohat saray Kam Ata Hay. Jaisay Jub koi Apko Email
Karna chahay Ya Apko Kisi ko Email karna Chaho to ap Gmail kay Banay Huway
Email Address say Email Kar Saktay Hain. Isi Tarha ap Gmail say Bani howi (Aik
Hi Email Address) ko ap Google ki Tamam
Products kay Liay Use Kar Saktay Hain. Apko Har product ya Service kay liay bar
bar naia Email Address Nahi Banana Parta. Google Ki Products may…… Google+,
Youtube, Translator, Email, Blogger Jaisai 100+ Products pr Istemal Kar Saktay
hain. Or Email Jub bhi hum kisi Other Website par Account Banatay hain to wo
hum say hamara Email Address Confirm Karta hay to Hum apna Gmail Ka Email
Address Daitay Hian. To Phir Us Website say humain Hamaray Email Address per
Confirmation Code Ata hay Jis say hum Verify Kar Saktay Hain. Isi Taraha
Beshumar Faiday Email Bananay Kay Hotay Hain. Agar Is Topic par Batana Shoro
Karen to bohat Time Lag Jaiyga.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article
kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty
Hain.
Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain..Koi
Bhi kay Gmail Ka Account Kaisay Banatay Hain. Sub say Pahlay Hum Google ka Page
Open Karengay or Phir Top Left pr Sign In pr Click Karnegay. Nichay Picture may
Dakh Saktay Hain.
Sign In Pr clic Karnay kay Bad do Box Nazar Aingay. Us kay
Nichay Create Account Likha Hoga Us pr
Click Karengay. Nicay Picture Dakhen.
Jub Hum Create Account Pr Click Karengay to Aik Naia Page
Aiyga jis may Humaray Samnay aik Form Ajaiyga. Jis May Apna Real Name or jo
email Address rakhna ho wo likhen gay. Or phir apna password likhengay. Or us
kay bad apni Real Birthday or Gender may Male or Femaile Daingay. or Phir Apna
Mobile No. daingay. or phir is form ko
Complete Fill Karkay Next Step Pr Daingay. Nichay Picure Dakhen.
Jaisay Hi Next pr Click Karengay to Aksar Oqaat Jo Apnay nay
Apna Cell No Dia Hota hay us pr aik Confirmation ka Massege Google ki Taraf
Saiy Ata hay usay ap wapis akar next page may likhen gay. Or Akasar Oqat
Message Confirmation Nahi Ata or Complete Account Bananay ka Process Complete
ho jata hay or Agree Terms Ka page Ajata hay jisay hum agree Karty hain to Hamara
Account Complete Ho Jatah hay. Nichay Picture May Dakhen.
Us kay Bad aik Page Aiyga Jis may Continue Likha hoga hum us
ko Continue pr Click Kar Daingay.
Or Hamara Account Ban Jaiyga. Yeh Account Lagin Howa Nazar
Araha hay. Yeh Hamara New Email Address Complete ho Chuka Hay .
May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga
or Yaqeenan Is Article say Ap Gmail may Email Account Banana Seekh Chukain
Hongay. Agar Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is article kay Start may hamari Video
bhi hay Jisay Ap Dekh kar Mazeed Samjh Saktay Hain. Or Agr phi bhi koi Bat
Samjh Na Ai ho to ap Nichay Diay Gaiy Comment Box may Comment kar kay Koi bhi
Sawal Poch Saktay Hain. Ap hamaray Youtube Channel ko Zaroor Subscribe Karen. Takay
Apko Information Technology in Urdu kay Mazid Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap
Hamara Article or Videos Apnay Friends say Bhi Share Karen Takay agar unko bhi
problem ho ya kuch sikhna Chahain to wo bhi Sikh Sakain. Or Ap Hamaray Facebook
Page ko Bhi Zaroor Like Karen. Or Ap hamain Twitter Pr Follow Karen. Or Hamaray
Google Plus pr bhi Follow Kar Saktay Hain.
Article Last Tak Dakhnay Ka Shukria.
______________/SOCIAL LINKS\________________________
______________/SOCIAL LINKS\________________________
No comments:
Post a Comment