Aj Hum Sikhengay Kay hum kay hum kay hamaray Computer ka Ip
Address Kahan Hota hay or Kaisay Check Kar Saktay. Or Yeh Bhi Janian gay kay IP
Address ki Hamain Kion Zaroorat Parti hay. Dosto Akasar hum Jub PTCL DSL ko
internet kay liay apnay Computer May Use Kartay Hain. To wahan pr hamara
Computer Ip Address Wifi Wagira Lagnay
Kay Liay Zaroorat Parti hay. Ya Phir Hum Agar Aik Hi pc pr 2 Ya 2 Say Ziada accounts
Use Kartay hain to mostly Websites un Accounts ko Block Kar Daiti Haiy Sirf
Apkay IP Address say Trace kar kay. Is
liay humain apnay IP Address kay Baray Zaroor Pata Hona Chahiay.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article
kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty
Hain.
Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain.. IP
Address ko Check karnay kay liay hum Sub say Pahlay Start May Aingay. Or Start
may Run kay Button pr Click Karengay. to run ka box start wali Jaga par Show
hoga nichay Picture Daikhen.
Us kay Bad Run kay Box may Type Karengay. CMD or Ok ka
button Daba Daingay. to hamari Screen pr DOS Application ka Box Show hoga jis
may Hum Commands kay Zariay Kam Karengay. Nichay Picture may Dakhen.
Iskay liay Apko kuch commands ko Yad Rakhna hoga. Lakin phir
bhi may apko is ki detail Bata Daita hon agar typing walay is article say apko
samjhana muskkil lagay to ap ap isi topic ki Video Start may Dakh Saktay hain.
Uskay bad hum CMD may aik Command Lagaingay “ipconfig” or Enter karengay. ap is
command ko nichay picture may dakhen.
Ok Karnay pr page kay oper kafi Sari Malomat Zahir Hogi jis
may Dosray number pr hamara IP Address Show ho raha Hoga.
ipV4 Address…………………….:
192.168.8.100
yeh Hamara Computer Ka IP Address hay Ap NichayPicture may
Dakh Saktay Hain.
May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga
or Yaqeenan Is Article say Ap apnay Computer ka IP Address Check Kar Sakengay. Agar Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is article kay
Start may hamari Video bhi hay Jisay Ap Dekh kar Mazeed Samjh Saktay Hain. Or
Agr phi bhi koi Bat Samjh Na Ai ho to ap Nichay Diay Gaiy Comment Box may
Comment kar kay Koi bhi Sawal Poch Saktay Hain. Ap hamaray Youtube Channel ko
Zaroor Subscribe Karen. Takay Apko Information Technology in Urdu kay Mazid
Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap Hamara Article or Videos Apnay Friends say Bhi
Share Karen Takay agar unko bhi problem ho ya kuch sikhna Chahain to wo bhi
Sikh Sakain. Or Ap Hamaray Facebook Page ko Bhi Zaroor Like Karen. Or Ap hamain
Twitter Pr Follow Karen. Or Hamaray Google Plus pr bhi Follow Kar Saktay
Hain. Article Last Tak Dakhnay Ka
Shukria.
______________/SOCIAL LINKS\________________________
No comments:
Post a Comment