Aj Hum Sikhengay Kay Hum Apnay PC Ya Laptop ki Speed Kaisay
Taiz Bana Saktay Hain. Us kay Liay Ap Hamara Complete Article Parhaingay To
apko Samjh Aiyga. Subsay Pahlay May Apko Yeh Batonga Kay Hamara PC Slow Hota
Kion Hay. Asal May Jub Hum Windows Install Karty Hain to Ap dakhty Hongay kay
hamray computer ki speed behter hoti hay. Or Jaisay jaisay hum log computer Use
Kartay Rahtay Hain Ahista Ahista PC Slow Hona Shoro Ho Jata hay. Or Phir intahi
Slow Ho Jata hay. Us ki Asal Waja Yeh Hoti hay. Kay Jub hum Internet Connect
kartay hain to kafi Sari Falto Files hamarai Temprary Folder may Jama Hona
Shoro Ho Jati hain. Or thora time guzrnay kay bad files ka size Ziada Ho jata
hay or PC Slow Ho jata. Hay isi tarha hum aksar softwares install shuda open
kartay hain or bar bar open hotay rahty hain to un ki bhi kuch backup files
banti rehti hain. Or wo bhi hamary Computer ko Slow Kar Daiti Hain.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article
kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty
Hain.
Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain..How to
Make Faster PC Or Laptop. Subsay Pahlay Apny
PC agar Windows 7 install hay to Start button pr Click Karengay or box may Run
Likh Kar Enter karengay. or Agar Windows 8 ya 8.1 hay to Right Click Start
Button kay pass Karen gay to aik menue sa open hoga jis may 3rd
number pr Run Likha Hoga. Nichay Picture may Dakhen.
Jee is picture kay mutabiq Run pr Click Karengay. to aik Box
appear hoga jis kayo per Run Likha hoga or aik box type kay liay hoga. Nichay
Picture may dakhen.
Hum is box may aik command hay usay type karengay “%temp%”
fised temp fised likh kar visible button ok hoga to ok kar daingay. nichy
picture dakhen.
Jaisay hi Hum Ok Pr Click Karengay to aik Nai Window Open
Hogi jis may kafi sari hamrai temporary Files Show ho rahi hongi. Nichay
Picture dakhen.
In Sub Files ko Select Karkay remove kar daingay. or phir hum
apni recycle bin bhi khali kar Daingay. Kabhi kabhi 2-4 files delete nahi hotin
unhay ap aisay hi rehnay dain.
Isi tarha Aik Dosra Tariqa istemal karengay. is may bhi sub
say pahaly start may Akar Run likh kar search option may Aingay or is bar
search box may type karengay. “prefetch” Nichay Picture may dakh saktay hian.
Jee is file ko hum Ok karengay to pahlay ki tarah kafi sari
files aik nai window may show hogi. Is window ka right side pr apko scroll bata
raha hay yeh kafi sari files hain. Jin ko ap select all karengay or phir un ko
delete kar daingay. nichay picture may dakhen.
Is Window ki Almost Tamam Files Remove Ho jaingi. Us kay bad
apnay lazmi Recycle Bin ko Khali Karna hay.warna apki Speed may Fareq Nahi
Pareyga. Yeh Sub Kuch Karnay kay Bad ap Yaqeenan Khush Hongay kay apka PC ya
Laptop ki Speed Bohat Taiz Ho Chuki Hogi.
May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga
or Yaqeenan Ab Ap Bari Asani Say Apnay PC Or Laptop ki Temprary Files Delete
kar kay Apnay PC ko Fast Bana Sakain Gay. Agar Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is
article kay Start may hamari Video bhi hay Jisay Ap Dekh kar Mazeed Samjh
Saktay Hain. Or Agr phi bhi koi Bat Samjh Na Ai ho to ap Nichay Diay Gaiy
Comment Box may Comment kar kay Koi bhi Sawal Poch Saktay Hain. Ap hamaray
Youtube Channel ko Zaroor Subscribe Karen. Takay Apko Information Technology in
Urdu kay Mazid Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap Hamaray Facebook Page ko Bhi
Zaroor Like Karen. Or Ap hamain Twitter Pr Follow Karen. Or Hamaray Google Plus
pr bhi Follow Kar Saktay Hain. Article Complete
Dakhnay Ka Shukria.
_____________/SOCIAL LINKS\______________________
★ Subscribe: ► Youtube Channel Subscribe Karen★ Facebook: ► Facebook Ka Page Like Karen★ Twitter: ► Twitter Pr Follow Karen★ Google+: ► G+ May Follow Karen
===============================================
No comments:
Post a Comment