How To Forget Unlock Drive Password in PC- Hum Apnay PC Ya
Laptop may Apnay Computer Ki Lock Drive Ka Password Bhol Jain to Kaisay Open
Kar Saktay Hain.
Aj Hum Sikhengay Kay Hum PC may Lock Drive Ka Bhola Howa
Password Ko Kaisay Open Kar Saktay Hain. Us kay Liay Ap Hamara Complete Article
Parhaingay To apko Samjh Aiyga. Subsay Pahlay Ap Hamari Aik Article Parhen kay
Hum Apnay PC may Apni Drive Ko Lock Kaisay Kar Saktay Hain. Or Jub Hum Apni
Drive ko Lock Kar Laingay to phir us ko Unlock Kaisay Kia Ja Sakta Hay.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article
kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty
Hain.
Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain..Forget
Unlock Drive Password in PC Subsay Pahlay
Apny PC may Kisi Drive Ko Lock Karna Hoga Wo may Pahlay Aik Or Video may Bata
Chuka Hon Ap Hamray Mazid Article Bhi Dakh Saktay Hain. Nichay Di Gai Picture
may May nay Apny PC ki Drive “D” ko Lock Kia Howa hay.
Ab Hum Is Drive ko Open Karengay. to Drive kay oper Double
Click Karengay. to aik Naia Box Zahir Hoga. Jis may hum Aik Password Likhen
Gay. Or Blue Color kay Unlock button pr Click Kar kay Unlock Karengay. Nichay
Picture may Dakhen.
Is Picture may hum nay Wrong Password Dia Hay or Ye Wrong Password
sirf Apko Samjhany Kay liay Dia Hay. Lakin Aksar Oqat Hum internet pr ya apnay
pc par bohat say kam kar rahay hotay hain. Is liay hum jis Drive ko lock kia
hay us ka password yad nahi rakh saktay. To jub hum wrong password likhengay to
aisi hi option apkay samnay aiygi. Jo apki Screen par nazar arahi hay. Ab hum
chonkay password bhol chukay hain. Or drive may data bhi hamara bara qimti hay
is liay hum usay Zaroor unlock kar saktay hain. To hum isi password box kay
nichay diygaiy More Option par Click Karengay. or to Screen Kuch Aisi Hogi
Nichay Dakhen.
Is may humain fever option kay nichay Recovery Key ka box
dia gia hay kay jub hum apni Drive ko lock karkay password lagatay hain to PC
humain aik Recovery Key Notepad file may Text ki Shakal may Daita hay us File
ko open kar kay hum apni Recovery Key is box may paste karengay. or phir unlock
karengay to hamari drive unlock hojaiygi. Nichay wali picture may drive ko lock
karnay wali notepad file desktop pr dikhai ja rahi hay nichy Picture Dakhen.
Ji is Notepad File ko open karengay. to humain is may Text
ki Shakal may Recovery Key Nazar Ajiaygi. Ap is key ko nichay wali picture may
Dakhen.
Is Degai Recovery Key ko hum Select Kar kay Copy Karengay or
phir Wapis apni Drive option pr double click karkay password kay nichay more
option may click kar kay Recovery Key may kay Box may Key Paste Kar Daingay.
Nichay Picture may Dakhen.
Or is kay bad Hum Nichay Diygaiy Blue Color kay Unlock
button pr Click Karengay. to hamari Drive Unlock hokar Golden Color say Gray
Color may ho Jaiygi. Ap Nichay Picture may Dakh Saktay Hain.
Ab Is Drive ko Open Karengay. to yeh Asani say Open Ho
jaiygi is drive may sirf kuch Images or File hain.
May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga
or Yaqeenan Ab Ap Bari Asani Say Apnay PC may Drive ko Unlock Kar Sakengay. Agar
Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is article kay Start may hamari Video bhi hay Jisay
Ap Dekh kar Mazeed Samjh Saktay Hain. Or Agr phi bhi koi Bat Samjh Na Ai ho to
ap Nichay Diay Gaiy Comment Box may Comment kar kay Koi bhi Sawal Poch Saktay
Hain. Ap hamaray Youtube Channel ko Zaroor Subscribe Karen. Takay Apko
Information Technology in Urdu kay Mazid Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap
Hamaray Facebook Page ko Bhi Zaroor Like Karen. Or Ap hamain Twitter Pr Follow
Karen. Or Hamaray Google Plus pr bhi Follow Kar Saktay Hain. Article Last Tak Dakhnay Ka Shukria. Allah Hafiz.
_____________/SOCIAL LINKS\______________________
★ Subscribe: ► Youtube Channel Subscribe Karen
★ Facebook: ► Facebook Ka Page Like Karen
★ Twitter: ► Twitter Pr Follow Karen
★ Google+: ► G+ May Follow Karen
===============================================
No comments:
Post a Comment