Saturday 23 September 2017

How to Make USB Flash As a Ram in PC - Ab Hum USB Flash ko Apnay PC may RAM kay tor par Kaisay Use Kar Saktay Hain



How to Make USB Flash As a Ram in PC - Hum Apnai USB Flash Ko RAM kay Tor Pr istemal Kar Saktay Hain.
Aj Hum Sikhengay Kay Hum Apnay PC Ki Ram USB kay Zariay Kaisay Barha Saktay Hain. Lakin us say pahlay hum yeh jaien gay kay humay RAM Barhanay ki Zaroorat kion Paish Ati hay. Asal may jub hum apnay PC ya Laptop pr Aik Time may 1 say Ziada Kam Karnay ki Koshish Karte hain (Jaisay aik hi waqat may koi Graphic Software pr work or sath hi kisi song ya movie ko dakhna or isi tarha kisi Video ko Render karna wagira )to us waqat Agar hamri Ram Ziada ho to hum 1 say ziada kam aik hi waqat may kar laitay Hain. Lakin agar hamray Laptop ki Ram kum ho to Phir 1 say Ziada kam aik hi waqat may karnay say Hamara PC intahi Slow Ho Jata hay Or Aksar Oqat Hang bhi Ho Jata hay. Jisay hamain Majboran Restart Karna Parta hay is say Hamaray honay walay tamam kamon may say koi bhi kam nahi hota hay.
Apnai USB Flash ko Ram Kaisay Banatay Hain. Us kay Liay Ap Hamara Complete Article Parhaingay To apko Samjh Aiyga.
Waisay agar Apko Romen may Sahi na Samjh Aiy to isi Article kay Start May Isi Topic Ki Youtube Video Hay Jis say Ap rehnumai Lay Sakty Hain.
Jee Dosto Ab Hum apnay Asal Topic Ki Taraf Atay Hain..How to Make USB Flash As a Ram in PC OR Laptop.  Subsay Pahlay Apny PC may hum Jis USB Flash ko Ram Banana Chahtay Hain Us Lagaingay. Jaisay may nay USB apnay PC say Lagai hay to wo nichay di gai picture may “TECH (H:)”kay name say show ho rahi hay . Nichay Picture Daikhen.
Make USB As a Ram in PC

Jee Hum apni USB ko Pahlay Format Karengay. Format karna Zaroori Hota hay is liay ap is bat ko apnay zehen may rakhen kay USB may ap apna Qimti Data Na Rakhen. Warna Wo Apka Data Zaia Ho Jaiyga. Nichay Picture may Dakhen.
Make USB As a Ram in PC

Ab hum Apni USB ko Format kar Chukay Hain. Is kay bad hum apni USB Pr Right Click Kar kay us ki Properties pr Click Karengay. Nichay Picture may Dakhen.

Make USB As a Ram in PC
USB ki Properties Agai hay is may kul 6 Tabs hain. Jis may Panchwain Tab “ReadyBoost” Pr Click Karengay. Nichay Picture may Dakhen.

Make USB As a Ram in PC
Jaisay Hi is Tab Pr Click Karegay. To apkay Samnay Nichay Wali Picture Show hogi.

Make USB As a Ram in PC
Ab is 3 boxes hongay jis ka sub say last box Likha Hoga “Use the Device” ko Click Karkay Select Karengay. Nichay Picture may Dakhen.

Make USB As a Ram in PC
Nichay window box kay Apply Button pr Click Karengay kuch Dair ka Process hoga or Phir Ap Ok Pr Click Kar Daingay. Phir Jub Hum apni USB ko Double Click Karkay Dobara Open Karengay to Hamri USB may is Tarah Ka Icon Show Hoga. To Ap Samjh Lain kay Apki USB RAM Ban Chuki hay.  Nichay Picture Daikhen.

Make USB As a Ram in PC
Ab Hum Mazid confirm karnay kay liay USB pr Right Click Kar kay us ki Properties pr Click Karengay to Ap Dakhengay. Chunkay Hum nay USB ko Format kia tha is liay wo bilkul khali Thee Lakin Ab Hamari USB ki Used Space 3.99 GB Show Kar Rahi hay. Is liay hamari USB as 4GB Ram kay Tor Par istemal Ho Rahi hay. Nichay Picture may Dakhen.

Make USB As a Ram in PC

May Umeed Karta Hon Kay Apko Hamara Article Acha Laga Hoga or Yaqeenan Ab Ap Bari Asani Say Apni Kisi Bhi USB ko As RAM PC may Bana kar Use Kar Saktay Hain. Agar Koi Bat Samjh Na Ai Ho to Is article kay Start may hamari Video bhi hay Jisay Ap Dekh kar Mazeed Samjh Saktay Hain. Or Agr phi bhi koi Bat Samjh Na Ai ho to ap Nichay Diay Gaiy Comment Box may Comment kar kay Koi bhi Sawal Poch Saktay Hain. Ap hamaray Youtube Channel ko Zaroor Subscribe Karen. Takay Apko Information Technology in Urdu kay Mazid Achi Videos Bhi Mil Saken. Or Ap Hamaray Facebook Page ko Bhi Zaroor Like Karen. Or Ap hamain Twitter Pr Follow Karen. Or Hamaray Google Plus pr bhi Follow Kar Saktay Hain.  Article Complete Dakhnay Ka Shukria. 

_____________/SOCIAL LINKS\______________________

★ Subscribe:    ► Youtube Channel Subscribe Karen
★ Facebook:    ► Facebook Ka Page Like Karen
★ Twitter:        ► Twitter Pr Follow Karen
★ Google+:      ► G+ May Follow Karen

===============================================

No comments:

Post a Comment